Home | Index of Poets Farhat Abbas Shah

tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad


tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad
kitane chup-chaap se lagate hai.n shajar shaam ke baad

itane chup-chaap ke raaste bhii rahe.nge laa-ilm
chho.D jaaye.nge kissi roz nagar shaam ke baad

mai.n ne aisee hii gunaah terii judaa_ii me.n kiye
jaise tuufaan me.n ko_ii chho.D de ghar shaam ke baad

shaam se pahale vo mast apanii u.Daano.n me.n rahaa
jis ke haatho.n me.n the TuuTe hue par shaam ke baad

raat biitii to gine aable aur phir sochaa
kaun thaa baa_is-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad

tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaa.N raat kaa dukh
tuu kisii roz mere ghar me.n utar shaam ke baad

lauT aaye na kissi roz vo aavaaraa majaaz
khol rakhate hai.n isii aas pe dar shaam ke baad

Contributed by Ijaz A Zaidi

Home | Index of Poets Farhat Abbas Shah
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd December, 2005