Home | Index of Poets Abdul Hameed Adam

jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye


jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye

ham hashr me.n gaye magar kuchh na puuchhiye
vo jaan buujh kar vahaa.N anjaan ban gaye

ha.Nsate hai.n ham ko dekh ke arbaab-e-aagahii
ham aap kii mizaaj kii pahachaan ban gaye

[arbaab-e-aagahii = intellectuals]

majh_dhaar tak pahu.Nchanaa to himmat kii baat thii
saahil ke aas paas hii tuufaan ban gaye

insaaniyat kii baat to itanii hai shaiKh jii
bad_qismatii se aap bhii insaan ban gaye

kaa.NTe bahut the daaman-e-fitarat me.n ai "Adam"
kuchh phuul aur kuchh mere armaan ban gaye

Home | Index of Poets Abdul Hameed Adam
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd February, 2003