Home | Index of Poets Akhtar ul Iman

bint-e-lamhaat


tumhaare lahaje me.n jo garmii-o-halaavat hai 
ise bhalaa saa ko_ii naam do vafaa kii jagah 
ganiim-e-nuur kaa hamalaa kaho a.Ndhero.n par 
dayaar-e-dard me.n aamad kaho masiihaa kii 
ravaa.N-davaa.N hue Khushbuu ke qaafile har suu 
Khalaa-e-subah me.n guu.Njii sahar kii shahanaa_ii 
ye ek koharaa saa ye dhu.Ndh sii jo chhaa_ii hai 
is iltahaab me.n surmagii.n ujaale me.n 
sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahii.n aataa 
hayaat naam hai yaado.n kaa talKh aur shiirii.n 
bhalaa kisii ne kabhii rang-o-buu ko paka.Daa hai 
shafaq ko qaid me.n rakhaa sabaa ko band kiyaa 
har ek lamahaa gurezaa.N hai jaise dushman hai 
na tum milogii na main ham bhii dono.n lamhe hai.n 
vo lamhe.n jaake jo vaapas kabhii nahii.n aate 

[halaavat=sweetness; ganiim=enemy; aamad=arrival]
[ravaa.N-davaa.N=scattered/spread]
[Khalaa-e-subah=morning silence] 
[iltahaab=stupor; surmagiin=surmaa_ii = kohl lined]
[talKh=bitter; shiirii.n=sweet; shafaq=twilight/night]
[gurezaa.N=fleeing/fleeting] 

Home | Index of Poets Akhtar ul Iman
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 23rd July, 2001