Home | Index of Poets Asar Lucknawi

phirate hue kisii kii nazar dekhate rahe


phirate hue kisii kii nazar dekhate rahe 
dil Khuun ho rahaa thaa magar dekhate rahe 

kuchh din ye bhii rang rahaa intazaar me.n 
aa.Nkh uTh ga_ii jidhar bas udhar dekhate rahe 

jab aashiyaa.N ki yaad asiirii me.n aa ga_ii 
u.Date huye havaa me.n sharar dekhate rahe 

[asiirii=prison; sharar=spark] 

sunate raho ki dekh liyaa jalvaa behijaab 
apanaa hii sab fareb-e-nazar dekhate rahe 

[behijaab=uncovered; fareb=deception] 

is vaaste ki aur ghaTe mol jins kaa 
mataluub un ko dil thaa jigar dekhate rahe 

[mataluub=longed for] 

saamaan-e-sad_hazaar tamaashaa thii beKhudii 
aa.Nkhe.n thii band aur 'Asar' dekhate rahe 

Home | Index of Poets Asar Lucknawi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001