Home | Index of Poets Ahmed Mushtaq

kahii.n ummiid sii hai dil ke nihaa.N_Khaane me.n


kahii.n ummiid sii hai dil ke nihaa.N_Khaane me.n 
abhii kuchh vaqt lagegaa ise samajhaane me.n 

mausam-e-gul ho ki patajha.D ho balaa se apanii 
ham ki shaamil hai.n na khilane me.n na murjhaane me.n 

ham se maKhfii nahii.n kuchh rah_guzar-e-shauq kaa haal 
ham ne ik umr guzaarii hai havaaKhvaane me.n 

hai yuu.N hii ghumate rahane kaa mazaa hii kuchh aur 
aisii lazzat na pahu.Nchane me.n na rah jaane me.n 

naye diivaano.n ko dekhe.n to Khushii hotii hai 
ham bhii aise hii the jab aaye the viiraane me.n 

mausamo.n kaa ko_ii meharam ho to us se puuchho 
kitane patajha.D abhii baaqii hai.n bahaar aane me.n 

Home | Index of Poets Ahmed Mushtaq
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 30th April, 2001