Home | Index of Poets Ahmed Mushtaq

kahaa.N kii guu.Nj dil-e-naatavaa.N me.n rahatii hai


kahaa.N kii guu.Nj dil-e-naatavaa.N me.n rahatii hai
ki thartharii sii ajab jism-o-jaa.N me.n rahatii hai

[dil-e-naatavaa.N = weak heart; jism = body]

mazaa to ye hai ki vo Khud to hai naye ghar me.n
aur us kii yaad puraane makaa.N me.n rahatii hai

agarche us se mere betakallufii hai bahut
jhijhak sii ek magar daramiyaa.N me.n rahatii hai

[betakallufii = informality; jhijhak = hesitation; daramiyaa.N = between]

pataa to fasl-e-gul-o-laalaa kaa nahii.n maaluum
sunaa hai qurb-o-vaar-e-Khizaa.N me.n rahatii hai

[fasl-e-gul-o-laalaa = season of flowers; Khizaa.N = fall/autumn]

mai.n kitanaa vaham karuu.N lekin ik shuaa-e-yaqii.n
kahii.n navaah-e-dil-e-bad-gumaa.N me.n rahatii hai

[vaham = doubt; shuaa-e-yaqii.N = ray of belief]
[navaah = surrounding (an area); dil-e-bad-gumaa.N = suspicious heart]

hazaar jaan khapaataa rahuu.N magar phir bhii
kamii sii kuchh mere tarz-e-bayaa.N me.n rahatii hai

[tarz-e-bayaa.N = style of speaking/expression]

Home | Index of Poets Ahmed Mushtaq
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001