Home | Index of Poets Ahmed Nadeem Qasmi

maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N


maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N 
'Nadeem' kaash yahii ek kaam kar jaa_uu.N 

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas 
jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaa_uu.N 

[izaa.N = permission] 

meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai 
terii taraf bhii chaluu.N to Thahar Thahar jaa_uu.N 

tere jamaal kaa paratau hai sab hasiino.n par 
kahaa.N kahaa.N tujhe Dhuu.NDhuu.N kidhar kidhar jaa_uu.N 

[paratau = reflection (saayaa,aks)] 

mai.n zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho 
jo tuu milaa hai to ab sochataa huu.N mar jaa_uu.N 

ye sochataa huu.N ki mai.n but_parast kyuu.N na huaa 
tujhe qariib jo paa_uu.N to Khud se Dar jaa_uu.N 

kisii chaman me.n bas is Khauf se guzar na huaa 
kisii kalii pe na bhuule se paa.Nv dhar jaa_uu.N 

ye jii me.n aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamho.n me.n 
ki Khuun ban ke rag-e-sang me.n utar jaa_uu.N 

[taKhliiq-e-fan=creation of art] 

Contributed by Tejjit Kalsi

Home | Index of Poets Ahmed Nadeem Qasmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th May, 2001