Search This Site:


Powered by FreeFind

Home
Archive
List of Topics
FAQ
Contact Us

Related Websites
Urdu Poetry Archive
Ghazal Singers

Mailing Lists
Mehfil-e-Gazal
Lafz

Other Websites
Nita's Web
GEETanjali

Ashaar #010 - 'Khaamoshii'

    
    Date: 14-May-2000
    Topic: Khaamoshii
    
    The topic for next week is 'vasl'. The deadline 
    for sending in your contributions is May 17th.
    
    
    Contributed by Athar Ali Sheikh:
    -------------------------------
    
    kah rahaa hai dariyaa se samandar kaa sukuut
    jis kaa jitanaa zarf hai utanaa vo Khaamosh hai
    [Iqbal]
    
    [sakuut = silence; zarf = capability/capacity]
    
    
    Contributed by Deepak Purohit:
    -----------------------------
    
    bazm me.n us ke ruu-ba-ruu kyuu.N na Khaamosh baiThiye
    us kii to Khaamoshii me.n bhii hai ye hii mudda'a ki yuu.N
    [Mirza Ghalib]
    
    [bazm = gathering; ruu-ba-ruu = face to face]
    
    ** I am not sure about the second misra of the 
    above sher. Can someone confirm the same? **
    
    
    umr bhar jalataa rahaa dil aur Khaamoshii ke saath
    shamaa ko ek raat kii soz-e-dilii pe naaz thaa
    [Saqib Lucknawi]
    
    [soz = burning; naaz = pride]
    
    
    o aasmaa.N vaale kabhii to nigaah kar
    kab tak ye zulm sahate rahe.n Khaamoshii se ham
    [Sahir Ludhianvi]
    
    
    Khaamosh tum bhii the aur Khaamosh mai.n bhii thaa
    phir vo kaun thaa jo itanii der bolataa rahaa
    [Unknown]
    
    
    Contributed by Mirza Faisal Beg:
    -------------------------------
    
    zulmat kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai 
    ek shammaa hai daliil-e-sahar so Khaamosh hai 
    [Mirza Ghalib]
    
    [zulmat = darkness; kadaa = place; daliil = proof; sahar = dawn]
    
    
    Khaamosh ai dil bharii mahafil me.n chillaanaa nahii.n achchhaa 
    adab pahalaa qariinaa hai mohabbat ke qariino.n me.n 
    [Sir Mohammad Iqbal] 
    
    [adab = good manners; qariinaa = condition]
    
    
    Contributed by Pradipmaya:
    -------------------------
    
    Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
    sannaaTaa hii guu.Nj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
    [Zaka Siddiqui]
    
    [sadaa = voice/sound; sannaaTaa = silence]
    
    
    mai.n ne ye kab kahaa ke mere haq me.n ho javaab
    lekin Khaamosh kyuu.N hai tuu ko_ii faisalaa to de
    [Rana Sahri]
    
    [haq me.n = in favour of; javaab = reply; faisalaa = decision]
    
    
    lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe
    baat karane ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe
    [Muzaffar Warsi]
    
    [lab-e-Khaamosh = silent lips; izhaar-e-tamannaa = expression of (one's) desire]
    [lahajaa = style]
    
    
    uff Khaamoshii kii ye aahe.n dil ko baramaatii hu_ii
    uff ye sannaaTe kii shahanaa_ii kise aavaaz duu.N
    [Josh Malihabadi]
    
    
    ye sukuut-e-naaz ye dil kii rago.n kaa TuuTanaa
    Khaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo
    [Firaq?]
    
    
    kabhii Khaamosh baiThogii kabhii kuchh gun_gunaaogii
    mai.n utanaa yaad aa_uu.Ngaa mujhe jitanaa bhulaaogii
    [Unknown]
    
    [gun_gunaanaa = humming]
    
    
    Contributed by Suma:
    -------------------
    
    muu.Nh kii baat sune har ko_ii dil ke dard ko jaane kaun
    aavaazo.n ke baazaaro.n me.n Khaamoshii pahachaane kaun
    [Unknown]
    
    
    Contributed by Vivek:
    --------------------
    
    Khaamoshii kaa haasil bhii ek lambii sii Khaamoshii hai 
    un kii baat sunii bhii ham ne apanii baat sunaa_ii bhii 
    [Gulzar (from Jagjit Singh's album "Marasim")
    
    [haasil = result]
    
    
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ashaar.net
Last updated on: 19th October, 2000