Search This Site:


Powered by FreeFind

Home
Archive
List of Topics
FAQ
Contact Us

Related Websites
Urdu Poetry Archive
Ghazal Singers

Mailing Lists
Mehfil-e-Gazal
Lafz

Other Websites
Nita's Web
GEETanjali

Ashaar #019 - 'naqaab'

    
    Date: 21-Sep-2000
    Topic: 'naqaab'
    
    Thanks to everyone who sent in their ashaar on the topic of 'naqaab'. 
    
    Here is one of my favourite sher on 'naqaab':
    
    go havaa-e-gulsitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
    vo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
    [Aga Hashr]
    
    
    
    Contributed by Sofia:
    --------------------
    
    meraa qalaam nahii.n tasbiih us mubaaliG kii
    jo bandagii kaa bhii har dam hisaab rakhataa hai
    meraa qalaam nahii.n miizan aise aadil kii
    jo apane chehare pe dohaaa naqaab rakhataa hai
    [Ahmed Faraz]
    
    
    Contributed by a 'sincere friend' :-)
    ---------------------------------
    
    chehare kaa nisf hissaa zer-e-naqaab kar ke
    karate hai.n husn vaale diidaar me.n milaavaT
    [Unknown]
    
    
    Contributed by R.K. Anuradha:
    ----------------------------
    
    sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa 
    nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa 
    [ Ameer Minai]
    
    kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai 
    ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai 
    [Rajesh Reddy]
    
    
    Contributed by Deepak Purohit:
    -----------------------------
    
    ulaT de ai sabaa tuu hii naqaab-e-ruKh ko chehare se
    kabhii to dekh le.n ham bhii zaraa sarakaar kii suurat
    [Siddiqui] 
    
    ** Doesn't feel like Sagar Siddiqui so which Siddiqui can this be?**
    
    sharm-e-rusvaa_ii se jaa chhupanaa naqaab-e-Khaak me.n
    Khatm hai ulfat kii tujh par pardaa-daarii haaye haaye
    [Mirza Ghalib]
    
    naqaab kahatii hai mai.n pardaa-e-qayaamat huu.N
    agar yaqii.n na ho dekh lo uThaa ke mujhe
    [Jaleel Manikpuri]
    
    aaraa_ish-e-jamaal se faariG nahii.n hanoz
    pesh-e-nazar hai aa_iinaa daa_im naqaab me.n
    [Mirza Ghalib]
    
    muskuraa kar Daal dii ruKh par naqaab 
    mil gayaa jo kuchh kii milanaa thaa javaab
    [Moen Ahsan Jazbi]
    
    be-pardaa suu-e-vaadii-e-majanuu.N guzar na kar
    har zarre ke naqaab me.n dil beqaraar hai
    [Mirza Ghalib]
    
    haa.N kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil
    dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n
    [Majaz]
    
    mujh ko Khabar rahii na ruKh-e-benaqaab kii
    hai Khud numuud-e-husn me.n shaan-e-hijaab kii
    [Asghar Gondvi]
    
    hai dekhane vaalo.n ko sambhalane kaa ishaaraa
    tho.Dii naqaab aaj vo sarakaaye huye hai.n
    [Arsh Malsiyani]
    
    
    
    Some more ashaar on 'naqaab':
    
    merii hairat kii qasam aap uThaye.n to naqaab 
    meraa zimmaa hai ki jalve na pareshaa.N honge
    [Jigar Moradabadi]
    
    
    dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa
    kyaa jaane kyaa ho pardaa jo uTThe naqaab kaa
    [Asar Sahbai]
    
    
    "Aziz" muu.Nh se vo apane naqaab to ulaTe.n
    kare.nge jab agar dil pe iKhtiyaar rahaa
    [Aziz Lucknawi]
    
    
    Topic for next week is 'ghar'. Looking forward to hearing from 
    you all by September 28th. Please send your favourite ashaar to 
    urdu_poetry@hotmail.com
    
    
    
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ashaar.net
Last updated on: 19th October, 2000