Search This Site:


Powered by FreeFind

Home
Archive
List of Topics
FAQ
Contact Us

Related Websites
Urdu Poetry Archive
Ghazal Singers

Mailing Lists
Mehfil-e-Gazal
Lafz

Other Websites
Nita's Web
GEETanjali

Ashaar #020 - 'ghar'

    
    Date: 30-Sep-2000
    Topic: 'ghar'
    
    
    Thanks to all those who sent in their favourite ashaar on 'ghar'. 
    The topic for the next edition of ashaar is 'galii/kuuchaa'. The 
    deadline for sending in your contributions is October 12th. A
    request - if you know the name of the poet, please add that, too.
    
    As in the past few posts, we start off with some ashaar by 
    Mirza Ghalib. These were compiled and sent in by Deepak 
    Purohit thereby easing much of my work. :-) Thanks Deepak.
    
    
    Contributed by Deepak Purohit:
    -----------------------------
    
    vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai
    kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n
    [Mirza Ghalib]
    
    be-dar-o-diivaar kaa ik ghar banaayaa chaahiye
    ko_ii ham-sayaa na ho aur paasabaa.N ko_ii na ho
    [Mirza Ghalib]
    
    rahe hai.n yuu.N gah-o-begah kii kuu-e-dost ko ab
    agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai kyaa kahiye
    [Mirza Ghalib]
    
    tum maah-e-shab-e-chaar daaham the mere ghar ke
    phir kyuu.N na rahaa ghar kaa vo nakshaa ko_ii din aur
    [Mirza Ghalib]
    
    ug rahaa hai dar-o-diivaar pe sabzaa "Ghalib"
    ham bayaabaa.N me.n hai.n aur ghar me.n bahaar aa_ii hai
    [Mirza Ghalib]
    
    dil me.n zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqii nahii.n
    aag is ghar ko lagii aisii ki jo thaa jal gayaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    aaye hai.n bekasii-e-ishq pe ronaa "Ghalib"
    kis ke ghar jaayegaa sailaab-e-balaa mere baad
    [Mirza Ghalib]
    
    
    apanii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
    mere pate se Khalq ko kyuu.N teraa ghar mile
    [Mirza Ghalib]
    
    
    chho.Daa na rashk ne ki tere ghar kaa naam luu.N
    har ek se puuchhataa huu.N ki jaa_uu.N kidhar ko mai.n
    [Mirza Ghalib]
    
    
    ek hangaamaa pe mauquuf hai ghar kii raunaq
    nauhaa-e-Gam hii sahii naGmaa-e-shaadii na sahii
    [Mirza Ghalib]
    
    
    kyaa hii rizvaan se la.Daa_ii hogii
    ghar teraa Khuld me.n gar yaad aayaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    ko_ii viiraanii sii viiraanii hai
    dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    ghar hamaaraa jo na rote bhii to viiraa.N hotaa
    bahar gar bahar na hotaa to bayaabaa.N hotaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    nazar me.n khaTake hai bin tere ghar kii aabaadii
    hameshaa rote hai.n hai.n ham dekh ke dar-o-diivaar
    [Mirza Ghalib]
    
    
    Contributed by R.K. Anuradha:
    ----------------------------
    
    nagaii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa 
    kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa 
    [Miraji]
    
    
    tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do 
    socho kis ke ghar jaayegii tanhaa_ii 
    [Zafar Gorakhpuri]
    
    
    yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye 
    us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye 
    
    Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye 
    shiish-mahal ne aisaa gheraa miTTii ke ghar bhuul gaye 
    [Nazeer Baqri]
    
    
    Contributed by Sofia:
    --------------------
    
    ghar to aisaa kahaa.N thaa lekin
    dar-ba-dar hai.n to yaad aataa hai
    [Unknown]
    
    
    ye sard raat ye aavaragii ye niind kaa bojh
    ham apane shahar me.n hote to gar gaye hote
    [Unknown]
    
    
    ko_ii aake jaise chalaa gayaa ko_ii jaake jaise gayaa nahii.n
    mujhe apanaa ghar bhii ghar lagaa to Khayaal terii taraf gayaa
    [Unknown]
    
    
    sunate hai.n ke apane hii the ghar luuTane vaale
    achchhaa huaa mai.n ne ye tamaashaa nahii.n dekhaa
    [Unknown]
    
    
    baarish hu_ii to ghar ke dariiche se lage ham
    chup-chaap sogavaar tumhe.n sochate rahe
    [Unknown]
    
    
    sa.Dak ko chho.D kar chalanaa pa.Degaa
    ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai
    [Unknown]
    
    
    jis jaa makiin banane ke dekhe the mai.n ne Khvaab
    us ghar mai.n ek shaam kii mahamaa.N bhii na thii
    [Parveen Shakir]
    
    
    raste me.n mil gayaa to shariik-e-safar na jaan
    jo chhaao.n maharbaa.N ho use apanaa ghar na jaan
    [Parveen Shakir]
    
    
    ghar aap hii jagamagaa uThegaa
    dahaliiz pe ik qadam bahut hai
    [Parveen Shakir]
    
    
    bahut se log the mahamaa.N mere ghar lekin
    vo jaanataa thee ke ehatemaam kis ke liye
    [parveen Shakir]
    
    
    kal jaane kaise honge kahaa.N honge ghar ke log
    aa.Nkho.n me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N
    [Ajmal Ajmali]
    
    
    log Tuut jaate hai.n ek ghar ke banaane me.n
    tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n
    [Bashir Badr]
    
    diivaar khastaa-haal hai aur dar udaas hai
    jab se ko_ii gayaa hai meraa ghar udaas hai
    [Nasir Basheer]
    
    
    yuu.N hii besabab na phiraa karo 
    kisii shaam ghar bhii rahaa karo
    
    vo Gazal kii sachchhii kitaab hai
    use chupake chupake pa.Dhaa karo
    [Bashir Badr]
    
    
    ghar nayaa bartan baye kapa.De naye
    in puraane kaaGazao.n kaa kya kare.n
    [Jaun Eliya]
    
    
    ilaahii mere dost ho.n Khairiyat se
    ye kyuu.N ghar me.n patthar nahii.n aa rahe hai.n
    [Khumar Barabankvi]
    
    
    Contributed by "a sincere friend":
    ---------------------------------
    
    jab ghar ko mere aag lagii to kuchh maal bachaa thaa jalane se
    aur vo bhii un ke haath lagaa jo aag bujhaane aaye the
    [Unknown]
    
    
    Contributed by Shahzad Gul:
    --------------------------
    
    mere Khudaa mujhe itanaa to motabir kar de
    mai.n jis makaan me.n rahataa huu.N us ko ghar kar de
    [Unknown]
    
    
    use kahanaa ke palko.n par na Taa.Nke Khvaab kii jhaalar
    samandar ke kinaare ghar banaa ke kuchh nahii.n milataa
    
    ye achchhaa hai ke aapis ke bharam na TuuTane paaye.n
    kabhii bhii dosto.n ko aazamaa kar kuchh nahiiln milataa
    (Unknown]
    
    
    tujh bin ghar kitanaa suunaa thaa 
    diivaaro.n se Dar lagataa thaa
    bhuulii nahii.n vo shaam-e-judaa_ii 
    mai.n us roz bahut royaa thaa
    [Nasir Kazmi]
    
    
    gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohade the
    bahut talaash kiyaa ko_ii aadamii na milaa
    [Bashir Badr]
    
    
    --------------------------------------------------
    Moderator's Note:
    
    Due to the large number of entries, I am unable to post all the 
    entries. However, everyone who sent in their contribution is 
    listed here. The web page on 'ghar' will have all the entries. 
    Please check the web site from time to time for more updates.
    
    You will be pleased to know that Ashaar has its own home on 
    the Net now - http://www.ashaar.net
    
    
    Please let me know what you think of the new website and how 
    it can be improved to serve you better.
    
    
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ashaar.net
Last updated on: 19th October, 2000