Search This Site:


Powered by FreeFind

Home
Archive
List of Topics
FAQ
Contact Us

Related Websites
Urdu Poetry Archive
Ghazal Singers

Mailing Lists
Mehfil-e-Gazal
Lafz

Other Websites
Nita's Web
GEETanjali

Ashaar #021 - 'galii/kuuchaa'

    
    Date: 13-Oct-2000
    Topic: 'galii/kuuchaa'
    
    As you can see, we got a very enthusiastic response 
    to 'galii/kuuchaa'. The topic for next week is difficult 
    but should be interesting. Please send in your favourite 
    ashaar on "Gazal" or if you prefer the more common 
    form "ghazal". The deadline is October 20th, 2000.
    Looking forward to hearing from you all.
    
    And, don't forget to check out the new Ashaar website at 
    http://www.ashaar.net
    
    
    Contributed by Narsing Raj:
    --------------------------
    
    nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
    bahut be-aabaruu ho kar tere kuuche se ham nikale
    [Mirza Ghalib]
    
    
    phir tere kuuche ko jaataa hai Khayaal
    dil-e-gum_gashtaa magar yaad aayaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    rahate the kabhii jin ke dil me.n ham jaan se bhii pyaaro.n kii tarah
    baiThe hai.n unhii.n ke kuuche me.n ham aaj gunahagaaro.n kii tarah
    [Majrooh Sultanapuri]
    
    
    Contributed by Deepak Purohit:
    -----------------------------
    
    First a few ashaar by Ghalib:
    
    apanii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
    mere pate se Khalq ko kyo.n teraa ghar mile
    [Mirza Ghalib]
    
    
    zauf se naksh-e-paa-e-mo.D hai tauq-e-gardaa.N
    tere kuuche se kahaa.N taaqat-e-raam hai ham ko
    [Mirza Ghalib]
    
    
    tere kuuche kaa hai maa_il dil-e-muztar meraa
    kaabaa ik aur sahii qiblaa-numaa aur sahii
    [Mirza Ghalib]
    
    
    galiyo.n merii naash ko khii.nche phiro ki mai.n
    jaan_daadaa-e-havaa-e-sar-e-rahaguzaar thaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    haa.N vo nahii.n Khudaa-parast, jaao vo be-vafaa sahii
    jis ko ho diin-o-dil aziiz us kii galii me.n jaaye kyuu.N
    [Mirza Ghalib]
    
    
    hu_ii hai kis qadar arzaanii-e-may-e-jalvaa
    ki mast hai tere kuuche me.n har dar-o-diivaar 
    [Mirza Ghalib]
    
    
    kam nahii.n jalvaagarii me.n tere kuuche se bahisht
    yahii naqshaa hai vale is qadar aabaad nahii.n
    [Mirza Ghalib]
    
    
    mai.n yuu.N bhii ehtiyaatan us galii se kam guzarataa huu.N
    ko_ii maasuum kyo.n mere liye bad-naam ho jaaye
    [Bashir Badr]
    
    
    ujaale apanii yaado.n ke hamaare saath rahane do
    na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaaye
    [Bashir Badr]
    
    
    ho sake kyaa apanii vahashat kaa ilaaj
    mere kuuche me.n bhii saharaa chaahiye
    [Daag Dehlvi]
    
    
    janaazaa rok kar meraa vo is andaaz se bole
    galii ham ne kahii thii tum to duniaya chho.De jaate ho
    [Safi Lucknawi]
    
    
    janaazevaalo na chupake qadam ba.Dhaaye chalo
    usii kaa kuuchaa hai tuk karate haaye haaye chalo
    [Hiranand 'Soz']
    
    
    zindagii Khatm jahaa.N kii vo jagah phir na milii 
    tere kuuche se uThaaye liye jaate hai.n mujhe
    [Razaa]
    
    
    mai.n ise shoharat kahuu.n yaa apanii rusvaa_ii kahuu.N
    mujh se pahale us galii me.n mere afsaane gaye
    [Hari Chand Akhtar]
    
    
    terii aarazuu terii justajuu me.n bhaTak rahaa thaa galii galii
    merii daastaa.N terii zulf hai jo bikhar biklhar ke sa.Nvar ga_ii
    [Bashir Badr]
    
    
    kuchh yaad kar ke aa.Nkh se aa.Nsuu nikal pa.De
    muddat ke baad guzare jo us galii se ham
    [Nawab Saeed]
    
    
    abhii aa_ii bhii nahii.n kuuchaa-e-dilbar se sadaa
    khil ga_ii aaj mere dil kii kalii aap hii aap
    [Daag Dehlvi]
    
    
    aql kahatii hai na jaa kuuchaa-e-qaatil kii taraf
    sarfaroshii kii havas kahatii hai ki chal kyaa hogaa
    [Bedil Azeemabadi]
    
    
    aa kar Kharaab hai.n tere kuuche me.n varnaa ham
    ab tak to jis zamii.n pe rahe aasmaa.N rahe
    [Anwar]
    
    
    ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghuume
    ai yaar magar  terii galii terii galii hai
    [Bashir Badr]
    
    paa-e-bosii bhii tumhe.n yaar kii mil jaayegii
    us ke kuuche kii zaraa Khaak to mil jaane do
    [Unknown]
    
    
    
    Contributed by Sofia:
    --------------------
    
    kuchh yaadagar-e-shahar-e-sitamgar hii le chale.n
    aaye hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
    [Nasir Kazmi]
    
    
    har galii achchhii lagii har ek ghar achchhaa lagaa
    vo jo aayaa shahar me.n to shahar bhar achchhaa lagaa
    [Unknown]
    
    ko_ii aahaT ko_ii aavaaz ko_ii chaap nahii.n
    dil kii galiyaa.N ba.Dii sunasaan hai.n aaye ko_ii
    [Parveen Shakir]
    
    is kuuche me.n ka_ii us ke shanaasaa bhii to hai.n
    vo kisii aur se milane ke bahaane aaye
    [Parveen Shakir]
    
    ham zamaane me.n kuchh aise bhaTake
    ab to un kii bhii galii yaad nahii.n
    [Unknown]
    
    raat bhar us kii aahaT kaan me.n aatii rahii
    jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa
    [Adeem Hashmi]
    
    
    Contributed by M.Eqbal Rahman:
    -----------------------------
    
    aaj junuu.N ke Dhang naye hai.n
    teri galii bhii chhuuT na jaaye
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    tumhaarii galiyo.n me.n phir rahaa huu.N 
    Khayaal-e-rasm-e-vafaa hai varnaa
    mai.n apane Gam-Khaanaa-e-junuu.N me.n
    tumhe.n bulaanaa bhii jaanataa huu.N
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    [ye gardish-e-zamaanaa hame.n kyaa miTaayegii
    ham hai.n tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa.N kiye hue
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    ko_ii diivaanaa chaahe bhii to lagzish kar nahii.n sakataa
    tere kuuche me.n paao.n la.Dakha.Daanaa bhuul jaate hai.n
    [Qabil Ajmeri]
    
    kitane shoriidaa-sar muhabbat me.n
    ho gaye kuchaa-e-sanam kii Khaak
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    kuuchaa-e-yaar markaz-e-anvaar
    apane daaman me.n dasht-e-Gam kii Khaak
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    Gam-e-jahaa.N ke taqaaze shadiid hai.n varnaa
    junuu.N-e-kuuchaa-e-dildaar ham bhii rakhate hai.n
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    sahib-e-dard ho ke ham "Qabil"
    kuuchaa-e-chaaragar me.n rahate hai.n
    [Qabil Ajmeri]
    
    
    
    Contributed by Ather Ali Shaikh:
    -------------------------------
    
    
    ye kuuche ye niilaam-ghar dil-kashii ke
    ye luTate hue kaaravaa.N zindagii ke
    kahaa.N hai kahaa.N hai muhaafiz Khudii ke
    sanaa Khvaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai
    
    ye pur-pe.Nch galiyaa.N ye be-Khvaab baazaar
    ye gumanaam raahii ye sikko.n kii jhankaar
    ye ismat ke saude ye saudo.n pe takaraar
    sanaa Khvaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai
    
    ta'ffun se pur-niim roshan ye galiyaa.N
    ye masalii hu_ii adh khulii zard kaliyaa.N
    ye bikatii hu_ii khokalii rang-raliyaa.N
    sanaa Khvaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai
    
    zaraa mulk ke rahabaro.n ko bulaao
    ye galiyaa.N ye kuuche ye manzar dikhaao
    sanaa Khvaan-e-taqdiis-e-mashriq ko laao
    sanaa Khvaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai
    [Sahir Ludhinavi]
    
    
    sang-e-tuflaan kii rivaayat ko bhii doharaayaa gayaa
    apanii galiyo.n me.n mujh ko ajanabii karane ke baad
    saa.Ns lene kaa takalluf hii to baaqii rah gayaa
    roz-marraa ki zaruurat me.n kamii karane ke baad
    [Saleem Kausar]
    
    
    saaye galii me.n jaagate rahate hai.n raat bhar
    tanhaa_iyo.n kii oT se jhaa.Nkaa na kar mujhe
    [Saleem Kausar]
    
    
    
    --------------------------------------------------
    For those of you who may be interested:
    
    Bazm-e-Arbab-e-Sukhan, San Francisco Bay Area proudly presents: 
    
    An evening with Radio, TV, Stage, and Movies Legend 
    The famous narrator of Ghalib, Faiz, and Shakespeare 
    For the very first time in S.F. bay area 
    ********************* 
    ZIA MOHYEDDIN 
    ********************* 
    Saturday, October 21, 2000, at 7:00 SHARP 
    
    Santa Clara Marriott, 
    2700 Mission College Blvd., 
    Santa Clara, CA 
    
    Ticket: $25.00 per person (limited seating) 
    
    Dinner will be served 7-8:30 p.m. ONLY 
    
    No food or tea will be served after 8:30 p.m. 
    No Cameras or Audio Recording please. 
    
    For more information, please contact: 
    
    Annie Akhter (650) 697-4445, mail4annie@aol.com 
    Dr. Tahir Mahmood (925) 485-0960, tahir3@home.com 
    
    --------------------------------------------------
    
    
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ashaar.net
Last updated on: 19th October, 2000