Search This Site:


Powered by FreeFind

Home
Archive
List of Topics
FAQ
Contact Us

What's New

Related Websites
Urdu Poetry Archive
Ghazal Singers

Mailing Lists
Mehfil-e-Gazal
Lafz

Other Websites
Nita's Web
GEETanjali

Ashaar #032 - 'tasviir'

    
    Date: 08-Mar-2001
    Topic: 'tasviir'
    
    
    They say a picture is worth a thousand words. 
    Here is what some poets have to say about it.
    
    
    
    Contributed by Abhijit Mazumder:
    -------------------------------
    
    lagataa hai ka_ii raato.n se jaagaa thaa musavvir
    tasviir kii aa.Nkho.n se thakan jhaa.Nk rahii hai
    [Unknown]
    
    terii tasviir se karataa thaa baate.n
    mere ghar me.n aa_iinaa nahii.n thaa
    [Majaz]
    
    dekh ke jis ko dil dukhataa thaa
    vo tasviir jalaa dii ham ne
    [Farhat Shehzad]
    
    
    Contributed by Ritesh Chandra:
    -----------------------------
    
    jalvaa na ho maanii kaa to suurat kaa asar kyaa
    bul_bul gul-e-tasviir kaa shaidaa nahii.n hotaa
    [Unknown]
    
    haadise aur bhii guzare terii ulfat ke sivaa
    haa.N mujhe dekh mujhe ab merii tasviir na dekh
    [Majrooh Sultanpuri]
    
    naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahariir kaa
    kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
    [Mirza Ghalib]
    
    
    Contributed by Ajmal Hussain:
    ----------------------------
    
    chand tasviir-e-butaa.N chand hasiino.n ke Khatuut
    baad marane ke mre ghar se ye saamaa.N nikalaa
    [Mirza Ghalib]
    
    dil gayaa thaa to ye aa.Nkhe.n bhii ko_ii le jaataa
    mai.n faqat ek hii tasviir kahaa.N tak dekhuu.N
    [Ahmed Nadeem Qasmi]
    
    
    Contributed by Pramod Shersia:
    -----------------------------
    
    merii tasviir me.n rang aur kisii kaa to nahii.n
    gher le mujh ko sab aake mai.n tamaashaa to nahii.n
    
    
    ham  un kii tasviir dil me.n chhipaaye baiThe hai.n
    viiraan zindagii me.n ek gul khilaaye baiThe hai.n
    [Unknown]
    
    
    Contributed by Arshad:
    ---------------------
    
    maanind-e-aks dekhaa use aur na mil sake
    kis ruu say phir kahe.nge ke roz-e-visaal thaa
    [Mir Hasan]
    
    sunaat ke musavvir ne sabaahat ke safe par
    tasviir banaa_ii hai tere nuur ko hal kar
    [Wali Deccani]
     
    uruus-e-maanaa kii tasviir khai.nch aatii hai 'Sauda' ko
    ko_ii Khaatir me.n us kii 'maani'-o-'behzad' aataa hai
    [Mohammed Rafi Sauda]
    
    rahe hai.n naqsh mere chashm-o-dil par yuu.N terii suurat
    musavvir kii nazar me.n jis tarah tasviir phiratii hai
    [Hasrat Azeemabadi]
    
    
    Contributed by Zoya Birring:
    ---------------------------
    
    muddato.n pahale jab tujh se taarruf bhii na thaa
    terii tasviir banaate the Khayaalat mere
    [Unknown]
    
    tasviir kyo.n dikhaaye.n tumhe.n naam kyo.n bataaye.n
    laaye hai.n ham kisii se kisii bevafaa kii hai
    [Bekhud Dehlvi]
    
    hamane dikhaa dikhaa terii tasviir jaa-ba-jaa
    har ik ko apanii jaan kaa dushman banaa liyaa
    [Jagannath Azad]
    
    aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
    har adaa achchhii Khaamoshii kii adaa achchhii nahii.n
    [Jaleel Manikpuri]
    
    terii suurat se nahii.n milatii kisii kii suurat
    ham jahaa.N me.n terii tasviir liye phirate hai.n
    [Nasikh]
    
    taab-e-nazzaaraa nahii.n aa_iinaa kyaa dekhane duu.N
    aur ban jaye.nge tasviir jo hairaa.N ho.nge
    [Momin Khan Momin]
    
    Khushaamad ai dil-e-betaab is tasviir kii kab tak
    ye bolaa chaahatii hai par na bolegii na bolii hai
    [Ameer Meenai]
    
    Galat hai aap na the ham_kalaam Khalvat me.n
    aduu se aap kii tasviir bolatii hogii
    [Riaz Khairabadi]
    
    
    Contributed by Ibrahim Taj:
    --------------------------
    
    lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe
    Gark hone ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe
    
    javaanii kyaa hai goyaa ek tasviir muhabbat ke
    jis me.n rango.n kii avaz Khuun-e-jigar bharate hai.n
    
    
    
    That's all on 'tasviir'. The topic for next week is 
    'mahafil/bazm'. If you want to share your favourite 
    ashaar on this topic with other members of Ashaar, 
    please e-mail them to moderator@urdupoetry.com by March 
    14th, 2001. Or use the online form at 
    http://www.ashaar.net/contact.html
    
    Before I leave, here are some snippets from songs 
    on 'tasviir':
    
    Two old songs by Talat Mahmood:
    
    tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii
    ek Khvaab saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii
    [Khumar Barabankvi for the film Baaradari]
    
    and,
    
    tasviir terii dil meraa bahalaa na sakegii 
    ye terii tarah mujh se yuu.n sharamaa na sakegii 
    [from the film Anarkali]
    
    Then there is Rafi's 
    
    tasviir banaataa huu.N terii Khuun-e-jigar se
    [Shakeel Badayuni for Diwana]
    
    and,
    
    jo baat tujh me.n hai terii tasviir me.n nahii.n,
    tasviir me.n nahii.n
    
    rango.n me.n teraa aks Dhalaa tuu na Dhal sakii
    saa.Nso.n kii aa.Nch jism kii Khushbuu na Dhal sakii
    [Sahir Ludhianvi in Taaj Mahal]
    
    There are others, of course. But that's another story! ;-)
    
    
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ashaar.net
Last updated on: 24th February, 2001