Home | Index of Poets Athar Nafees

itane dino.n ke baad tuu aayaa hai aaj


itane dino.n ke baad tuu aayaa hai aaj
sochataa huu.N kis tarah tujh se miluu.N

mere andar jaag uThii ik chaa.Ndanii
mai.n zamii.n se aasamaa.N tak ek ang huu.N

aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chaa.Nd
aur gaharaa ho gayaa teraa fusuu.N

[qurbat = nearness; fusuu.N = magic]

ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa
kis dhanak se teraa pairaahan bunuu.N

[saraapaa rang-o-nikahat = colour and fragrance from head to toe**]
[** the very epitome of beauty]
[pairaahan = garment/dress]

saare gul_buuTe tar-o-taazaa hue
duur tak pahu.Nchii hai merii mauj-e-Khuu.N

kar rahe hai.n lamhe lamhe kaa hisaab
mil ke phir baiThe hai.n yaaraan-e-junuu.N

dasht-e-Gam kii dhuup me.n mujh par khulaa
mai.n Khud apanaa saayaa-e-diivaar huu.N

naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar
qadr kar merii ki mai.n bas ek huu.N

Home | Index of Poets Athar Nafees
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 11th March, 2002