Home | Index of Poets Jagannath Azad

kaamaraan yuu.N thaa meraa baKht-e-javaa.N kal raat ko


kaamaraan yuu.N thaa meraa baKht-e-javaa.N kal raat ko
jhuk rahaa thaa mere dar pe aasamaa.N kal raat ko 

[kaamaraan=successful; baKht=luck/fortune] 

husn jab thaa ishq ke ghar mahamaa.N kal raat ko
uTh chukaa thaa har hijaab-e-daramiyaa.N kal raat ko 

[mahamaa.N=guest; hijaab=curtain; daramiyaa.N=in between] 

kaash ban jaatii hayaat-e-jaavidaa.N kal raat ko
kis qadar mahabuub thii umr-e-ravaa.N kal raat ko 

[hayaat=life; jaavidaa.N=eternal; mahabuub=dear/loved]
[umr-e-ravaa.N=fleeting life] 

dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaa.N kii zad pe thaa
dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaa.N kal raat ko 

[tanhaa=lonely; zad=target] 

ban rahii thii halqaa merii ziist ke girdaab kaa
kuchh sunaharii kuchh rupahalii chuuriyaa.N kal raat ko 

[halqaa=circumference/ring; ziist=life; girdaab=whirlpool]
[sunaharii=golden; rupahalii=silver] 

ruk ga_ii.n thii yuu.N zamiin-o-aasamaa.N kii gardishe.n 
niim-shab par shaam hii kaa thaa gumaa.N kal raat ko 

[gardishe.n=cycles/rotations; niim-shab=midnight; gumaa.N= suspicion] 

kyaa Khabar kyo.n husn kii farmaa_isho.n ke baavajuud
ishq ne chhe.Dii na apanii daastaa.N kal raat ko 

[farmaa_ish=request; baavajuud=inspite of; daastaa.N=tale/story] 

subah phir laane ko hai lambii judaa_ii kaa payaam 
ye bhii ik aavaaz aa_ii naagahaa.N kal raat ko 

[payaam=message; naagahaa.N=suddenly] 

Home | Index of Poets Jagannath Azad
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th January, 2002