sochaaa nahii.n achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahii.n
Bashir Badr

sochaaa nahii.n achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahii.n
maa.ngaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhii nahii.n

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahii.n

jis par hamaarii aa.Nkh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaaGaz use hamane likhaa kuchh bhii nahii.n

ik shaam kii dahaliiz par baiThe rahe wo der tak
aa.Nkho.n se kii baate.n bahut muu.Nh se kahaa kuchh bhii nahii.n

do chaar din kii baat hai dil Khaak me.n so jaayegaa
jab aag par kaaGaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahii.n

ahasaas kii Khushbuu kahaa.N, aavaaz ke juganuu kahaa.N
Khaamosh yaado.n ke sivaa, ghar me.n rahaa kuchh bhii nahii.n

Home | Index of Poets


Last updated on 23rd June, 1998