Contributed by Zafar Iqbal


mere saath tum ye duaa karo yo.n kisii ke haq me.n buraa na ho
Bashir Badr

mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho

mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuu kii lakiir hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho

NOTE: Some books have the first misra of the above sher as:
merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai

sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho

vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho

mujhe yuu.N lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oT me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho

Home | Index of Poets


Last updated on 24th September, 1998