hoTho.n pe muhabbat ke fasaane nahii.n aate
Bashir Badr

hoTho.n pe muhabbat ke fasaane nahii.n aate
saahil pe samu.ndar ke Khazaane nahii.n aate

palake.n bhii chamak uThatii hai.n sote me.n hamaarii
aa.Nkho.n ko abhii Khvaab chhupaane nahii.n aate

dil uja.Dii hu_ii ik saraaye kii tarah hai
ab log yahaa.N raat jagaane nahii.n aate

u.Dane do pari.ndo.n ko abhii shoKh havaa me.n
phir lauT ke bachapan ke zamaane nahii.n aate

[pari.ndo.n=birds]

is shahar ke baadal terii zulfo.n kii tarah hai.n
ye aag lagaate hai.n bujhaane nahii.n aate

ahabaab bhii Gairo.n kii adaa siikh gaye hai.n
aate hai.n magar dil ko dukhaane nahii.n aate

[ahabaab=friends]

Home | Index of Poets


Last updated on 5th September, 1999