Khushbuu kii tarah aayaa vo tez havaao.n me.n
Bashir Badr

Khushbuu kii tarah aayaa vo tez havaao.n me.n
maa.Ngaa thaa jise ham ne din raat duaao.n me.n

tum chhat par nahii.n aaye mai.n ghar se nahii.n nikalaa
ye chaa.Nd bahut laTakaa saavan ki ghaTaao.n me.n

is shahar me.n ik la.Dakii bilkul hai Gazal jaisii
phuulo.n kii badan vaalii Khushbuu sii adaao.n me.n

duniyaa kii tarah vo bhii ha.Nsate hai.n muhabbat par
Duube huye rahate the jo log vafaao.n me.n

Home | Index of Poets


Last updated on 9th January, 2000