Home | Index of Poets Behzad Lucknawi

ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n


ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n
duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n 

mujh ko na apanaa hosh na duniyaa kaa hosh hai
mast hoke baiThaa huu.N tumhaare Khayaal me.n 

taaro.n se puuchh lo merii rudaad-e-zindagii
raato.n ko jaagataa huu.N tumhaare Khayaal me.n 

[rudaad = story]

duniyaa ko ilm kyaa hai zamaane ko kyaa Khabar
duniyaa bhulaa chukaa huu.N tumhaare Khayaal me.n 

[ilm = knowledge]

duniyaa kha.Dii hai muntazir-e-naGmaa-e-alam
'Behzad' chup kha.De hai.n kisii ke Khayaal me.n

[muntazir = waiting]

Home | Index of Poets Behzad Lucknawi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001