na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n
Bekhud Dehlvi

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n
jigar ke daaG chhil jaane ke din hai.n

adaa sii Khuub adaa aane ke din hai.n
abhii to duur sharmaane ke din hai.n

garebaa.N Dhuu.NDhate hai.n haath mere
chaman me.n phuul khil jaane ke din hai.n

tumhe.n raaz-e-muhabbat kyaa bataaye.n
tumhare khelane khaane ke din hai.n

ghaTaaye.n uudii uudii kah rahii hai
may-e-a.nguur khi.nchavaane ke din hai.n

Home | Index of Poets


Last updated on 16th January, 1998