Home | Index of Poets Bal Swarup Rahi

kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa huu.N


kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa huu.N
mai.n rel ke injan kaa dhuaa.N dekh rahaa huu.N

fursat hai kahaa.N aap ke baaGaat me.n Tahaluu.N
mai.n apane uja.Dane kaa samaa.N dekh rahaa huu.N

[baaGaat = gardens; Tahalanaa = to stroll]

Khanjar jo gavaahii hai mere qatl kii us par
apanii hii u.Ngaliyo.n ke nishaa.N dekh rahaa huu.N

[Khanjar = dagger; gavaahii = witness; qatl = murder]

sab aap kii aa.Nkho.n se jahaa.N dekh rahe hai.n
mai.n aap kii aa.Nkho.n me.n jahaa.N dekh rahaa huu.N

vo soch me.n Duube hai.n nishaanaa ho kahaa.N par
mai.n TuuTe huye tiir-kamaa.N dekh rahaa huu.N

maaluum hai taqariir likhaa laaye hai.n kis se
mai.n un kaa zaraa tarz-e-bayaa.N dekh rahaa huu.N

[taqariir = speech/discourse; tarz-e-bayaa.N = style of speaking]

jo mai.n ne Khariidaa thaa kabhii bech ke Khud ko
niilaam me.n bikataa vo makaa.N dekh rahaa huu.N

[niilaam = auction]

tuu Dhuu.NDh rahii hogii kahaa.N mujh ko qayaamat
mai.n kab se terii raah yahaa.N dekh rahaa huu.N

Tokaa jo unho.nne ki kaho dekh lii duniyaa
mai.n bhii kahaa ha.Ns ke ki haa.N dekh rahaa huu.N

buu.Dhii hu_ii ummiid to kyaa phir bhii la.Duu.Ngaa
mai.n apane iraade ko javaa.N dekh rahaa huu.N

jis raah se jaanaa hai na_ii pii.Dhii ko 'Rahi'
us raah me.n ik andhaa kuaa.N dekh rahaa huu.N

Home | Index of Poets Bal Swarup Rahi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 24th May, 2001