Contributed by Robert
aarazuu hai vafaa kare ko_ii
Daag Dehlvi

aarazuu hai vafaa kare ko_ii
jii na chaahe to kyaa kare ko_ii

gar marz ho davaa kare ko_ii
marane vaale kaa kyaa kare ko_ii

[marz=illness]

koste hai.n jale hue kyaa kyaa
apane haq me.n duaa kare ko_ii

[kosanaa=to curse]

un se sab apanii apanii kahate hai.n
meraa matalab adaa kare ko_ii

tum saraapaa ho suurat-e-tasviir
tum se phir baat kyaa kare ko_ii

[saraapaa=from head to toe; suurat-e-tasviir=like a picture]

jis me.n laakho.n baras kii huure.n ho.n
aisii jannat ko kyaa kare ko_ii

[huur=fairy; jannat=paradise]

Home | Index of Poets


Last updated on 20th January, 2000