Daag Dehlvi

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm | Biography

shab-e-visaal hai roshan chiraaG gul kar do
Khushii kii bazm me.n kyaa kaam jalane vaalo.n kaa

lutf-e-mai tujh se kyaa kahuu.N zaahid
haaye kambaKht tuu ne pii hii nahii.n

jis me.n laakho.n baras kii huure.n ho.n
aisii jannat ko kyaa kare ko_ii

mere Khayaal me.n duniyaa uja.D ga_ii merii
tere Khayaal me.n tinke the aashiyaa.N ke

Contributed by Fayaz Razvi
 
kabhii dekh to sar-e-rah_guzar
ke ta.Dapate kitane hai.n raah par
na chal aisii chaal tuu fitnaagar
ko_ii ye bhii tarz-e-Khiraam hai

Contributed by Fayaz Razvi
 
tum hii insaaf se ai hazarat-e-naaseh kah do
lutf in baato.n me.n aataa hai ke un baato.n me.n

Contributed by Fayaz Razvi
 
dil kii taaqiid hai har haal me.n ho paas-e-vafaa
kyaa sitam hai ke sitam_gar ko sitam_gar na kaho

ek to husn-e-balaa us pe banaavaT aafat ghar bigaa.Denge hazaaro.n kaa sa.Nvarane vaale  
hashr me.n lutf ho jab un se ho do-do baate.n vo kahe.n kaun ho tum ham kahe.n marane vaale  
hazarat-e-'DaaG' jahaa.N baiTh gaye baiTh gaye aur ho.nge terii mahafil se ubharane vaale

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th September, 2001