Sudarshan Faakir


zindagii tujh ko jiyaa hai koii afsos nahii.n
Sudarshan Faakir

zindagii tujh ko jiyaa hai koii afsos nahii.n
zahar Khud mai.ne piyaa hai koii afsos nahii.n

mai.ne mujarim ko bhii mujarim na kahaa duniyaa me.n
bas yahii jurm kiyaa hai koii afsos nahii.n

merii qismat me.n likhe the ye u.nhii.n ke aa.Nsuu
dil ke zaKhmo.n ko siyaa hai koii afsos nahii.n

ab gire sang ki shiisho.n kii ho baarish 'Fakir'
ab kafan o.D liyaa hai koii afsos nahii.n

Home | Index of Poets


Last updated on 20th December, 1997