Contributed by: Umang Bali


tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai
Faiz Ahmed Faiz

tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzarii hai

junuu.N me.n jitanii bhii guzarii bakaar guzarii hai
agarche dil pe Kharaabii hazaar guzarii hai

huii hai hazarat-e-naaseh se guftaguu jis shab
wo shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzarii hai

wo baat saare fasaane me.n jisakaa zikr na thaa
wo baat unako bahot naa-gavaar guzarii hai

na gul khile hai.n, na unase mile, na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzarii hai

chaman me.n Gaarat-e-gulachii.N se jaane kyaa guzarii
qafas se aaj sabaa beqaraar guzarii hai

[Gaarat=pillage, plunder; gulachii.N=flower-plucker; qafas=cage]

Home | Index of Poets


Last updated on 27th December, 1997