Khurshiid-e-Mahashar Kii Lau
Faiz Ahmed Faiz

aaj ke din na puuchho mere dosto
duur kitane hai.n Khushiyaa.N manaane ke din
khul ke ha.Nsane ke din giit gaane ke din
pyaar karane ke din dil lagaane ke din

aaj ke din na puuchho mere dosto
zaKhm kitane abhii baKht-e-bismil me.n hai.n
dasht kitane abhii raah-e-ma.nzil me.n hai.n
tiir kitane abhii dast-e-qaatil me.n hai.n

aaj ke din zubuu.N hai mere dosto
aaj ke din to yuu.N hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke puraane nishaa.N
sab chale suu-e-dil kaaravaa.N kaaravaa.N
haath siine pe rakho to har ustaKhvaa.N
se uThe naalaa-e-al'amaa.N al'amaa.N

aaj ke din na puuchho mere dosto
kab tumhaare lahuu ke dariidaa alam
farq-e-Khurshiid-e-mahashar pe ho.nge raqam
az karaa.N taa karaa.N kab tumhaare qadam
leke uThegaa vo bahar-e-Khuu.N yam-ba-yam
jis dil me.n dhul jaayegaa aaj ke din kaa Gam
saare dard-o-alam saare jaur-e-sitam
duur kitanii hai Khurshiid-e-mahashar kii lau
aaj ke din na puuchho mere dosto

Home | Index of Poets


Last updated on 27th December, 1999