Faiz Ahmed Faiz

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm

diivaar-e-shab aur aqs-e-ruKh-e-yaar saamane
phir dil ke aa_iine se lahuu phuuTane lagaa
phir vaz-eehatiyaat se dhu.Ndhalaa ga_ii nazar
phir zabt-e-aarazuu se badan TuuTane lagaa

Contributed by Karandeep Singh
 
ham ahal-e-qafas tanhaa bhii nahii.n
har roz nasiim-e-subah-e-vatan
yaado.n se muattar aatii hai
ashko.n se munavvar jaatii hai

mataa-e-lauh-o-qalam chhin ga_ii to kyaa Gam hai
ki Khuun-e-dil me.n Duubo lii hai.n u.Ngaliyaa.N mai.n ne zabaa.N pe mohar lagii hai to kyaa ki rakh dii hai
har ek halqaa-e-zanjiir me.n zubaa.N mai.n ne
- September, 1952

na aaj lutf kar itanaa ki kal guzar na sake
vo raat jo ki tere gesuo.n kii raat nahii.n
ye aarazuu bhii ba.Dii chiiz hai magar ham-dam
visaal-e-yaar faqat aarazuu kii baat nahii.n

na diid hai na suKhan ab na harf hai na payaam
ko_ii bhii hiilaa-e-taskii.n nahii.n aur aas bahut hai
ummiid-e-yaar nazar kaa mizaaj dard kaa rang
tum aaj kuchh bhii na puuchho ki dil udaas bahut hai

na puuchh kab se teraa intazaar kitanaa hai
ki jin dino.n se mujhe teraa intazaar nahii.n
teraa hii aks hai un ajanabii nahaaro.n me.n
jo tere lab, tere baazuu teraa kanaar nahii.n
- June, 1950

raat yuu.N dil me.n terii kho_ii hu_ii yaad aa_ii
jaise viiraane me.n chupake se bahaar aa jaaye
jaise seharaa me.n haule se chale baad-e-nasiim
jaise biimaar ko be-vajah qaraar aa jaaye
- July, 1929

Contributed by Fayaz Razvi
 
thak kar yuu.N hii pal bhar ke liye aa.Nkh lagii thii
so kar hii na uThe.nge ye iraadaa to nahii.n thaa

zabt kaa ahad bhii hai shauq kaa paimaa.N bhii hai
ahad-o-paimaa.N se guzar jaane ko jii chaahataa hai
dard itanaa hai ki har rag me.n hai mahashar barpaa
aur sukuu.N aisaa ki mar jaane ko jii chaahataa hai

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 18th June 2001