Contributed by Saleem A. Khanani


ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa
Fani Badayuni

ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa
zindagii kahe ko hai Khvaab hai diivaane kaa

zindagii bhii to pashemaa.N hai yahaa.N laake mujhe
Dhuu.NDhatii hai koii hiilaa mere mar jaane kaa

haDDiyaa.N hai.n kaii lipaTii huii za.njiro.n me.n
liye jaate hai.n janaazaa tere diivaane kaa

tum ne dekhaa hai kabhii ghar ko badalate hue rang
aao dekho na tamashaa mere Gum_Khaane kaa

ab ise daar pe lejaa ke sulaa de saaqii
yuu.N behakanaa nahii.n achchhaa tere diivaane kaa

ham ne chhaanii hai.n bahot dair-o-haram kii galiyaa.N
kahii.n paayaa na Thikaanaa tere diivaane kaa

har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "Fani"
zindagii naam hai mu.D mu.D ke jiye jaane kaa

Home | Index of Poets


Last updated on 12th February, 1998