jadaa-e-fan me.n ba.De saKht muqaam aate hai.n
Dilawar Figaar

jadaa-e-fan me.n ba.De saKht muqaam aate hai.n
mar ke rah jaataa hai fanakaar amar hone tak

kitane Gaalib the jo paidaa huye aur mar bhii gaye
qadradaan.n ko taKhallus ki kHabar hone tak

kitane iqabaal rah-e-fikr me.n uThe lekin
raastaa bhuul gaye Khatm-e-safar hone tak

kitane shabbiir hasan khaa.N na bane josh kabhii
mar gaye kitane sikander bhii jigar hone tak

faiz rang bhii ashaar me.n aa sakataa thaa
u.ngaliyaa.N saath to de.n Khuun me.n tar hone tak

cha.nd zarro.n hi ko milatii hai ziyaa-e-Khurshiid
cha.nd taare hii chamakate hai.n sahar hone tak

dil-e-shaayar pe kuchh aisii hii guzaratii hai 'figaar'
jo kisii qatare pe guzare hai guhar hone tak

Home | Index of Poets


Last updated on 19th August, 1998