Home | Index of Poets Mirza Ghalib

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai 
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai 

[qaraar=rest/repose, bedaad=injustice] 


dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale 
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai 

[hayaat = life; dahar = world]
[baa_andaazaa = according to; Khumaar = intoxication] 


giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko 
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai 

[giriyaa = weeping; iKhtiyaar = control] 


ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir 
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai 

[abas=indifferent; gumaan=suspicion; ranjish=unpleasantness;] 
[Khaak=ashes/dust; ushshaq=lovers; Gubaar=clouds of dust] 


dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii 
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai 

[ma_anii = meanings, Gair-e-gul = other than blossoms ] 


qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare 
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai 

[ahad = promise, baare = at last, ustavaar = firm/determined ] 


tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib' 
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai

[mai_kashii = boozing; aitabaar = trust/faith] 

Home | Index of Poets Mirza Ghalib
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 24th March, 2001