husn-e-maah garche baa_ha.ngaam-e-kamaal achchhaa hai
Mirza Ghalib

husn-e-maah garche baa_ha.ngaam-e-kamaal achchhaa hai
us se meraa maah-e-Khurshiid-e-jamaal achchhaa hai

[maah=muun; Khurshiid=sun; jamaal=beauty]

bosaa dete nahii.n aur dil pe hai har lahajaa nigaah
jii me.n kahate hai.n muft aaye to maal achchhaa hai

[bosaa=kiss]

aur baazaar se le aaye.n agar TuuT gayaa
saaGar-e-jam se meraa jaam-e-sifaal achchaa hai

[saaGar-e-jam=Jamshed's cup, jaam-e-sifaal=clay cup]

betalab de.n to mazaa usame.n sivaa mialtaa hai
vo gadaa jisako na ho Khuu-e-savaal achchhaa hai

[betalab=without asking; gadaa=beggar; Khuu=habit]

unake dekhe se jo aa jaatii hai muu.Nh par raunaq
vo samajhate hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai

dekhiye paate hai.n ushshaaq buto.n se kyaa faiz
ik birahaman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai

[ushshaaq=lovers; faiz=blessing]

ham_suKhan teshe ne farahaad ko shiirii.n se kiyaa
jis tarah kaa bhii kisii me.n ho kamaal achchhaa hai

[tesha=axe ]

qataraa dariyaa me.n jo mil jaaye to dariyaa ho jaaye
kaam achchaa hai vo jisakaa ma'aal achchhaa hai

[ma'aal=result]

Khijr sulataan ko rakhe Khaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaG me.n ye taazaa nihaal achchha hai

[Khijr sulataan=one of Badshah Zafar's son; Khaaliq=God]
[akbar=greatest; sar_sabz=fertile; nihaal=tree]

hamako maaluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchha hai

Home | Index of Poets


Last updated on 4th March, 1998