Home | Index of Poets Asghar Gondvi

paas-e-adab me.n josh-e-tamannaa liye hue


paas-e-adab me.n josh-e-tamannaa liye hue 
mai.n bhii huu.N ek hubaab me.n dariyaa liye hue 

rag-rag me.n aur kuchh na rahaa juz Khayaal-e-dost 
us shoKh ko huu.N aaj saraapaa liye hue 

saramaayaa-e-hayaat hai hirmaane-e-aashiqii 
hai saath ek suurat-e-zebaa liye hue 

josh-e-junuu.N me.n chhuuT gayaa aastaan-e-yaar 
rote hai.n muu.Nh me.n daaman-e-saharaa liye hue 

'Asghar' hujuum-e-dard-e-Gariibii me.n usakii yaad 
aaii hai ik tilismii tamannaa liye hue 

Home | Index of Poets Asghar Gondvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001