Home | Index of Poets Iftikhar Arif

ye ab khulaa hai ki ko_ii bhii manzar meraa na thaa


ye ab khulaa hai ki ko_ii bhii manzar meraa na thaa 
mai.n jis me.n rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa 

mai.n jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa 
miTTii bataa rahii vo paikar meraa na thaa 

mauj-e-havaa-e-shahar-e-muqaddar javaab de 
dariyaa mere na the ki samandar meraa na thaa 

phir bhii to sang_saar kiyaa jaa rahaa huu.N mai.n 
kahate hai.n naam tak sar-e-mahazar meraa na thaa 

sab log apane apane qabiilo.n ke saath the 
ek mai.n hii thaa ki ko_ii bhii lashkar meraa na thaa 

Home | Index of Poets Iftikhar Arif
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001