Contributed by Fayaz Razvi


chaman kii bahaaro.n me.n thaa aashiyaanaa
Qamar Jalalwi

chaman kii bahaaro.n me.n thaa aashiyaanaa
na jaane kahaa.N kho gayaa vo zamaanaa

tumhe.n bhuulane kii mai.n koshish karuu.Ngaa
ye vaadaa karo ke na tum yaad aanaa

mujhe mere miTane kaa Gam hai to ye hai
tumhe.n bevafaa kah rahaa hai zamaanaa

Khudaaraa merii qabr pe tum na aanaa
tumhe.n dekh kar shaq karegaa zamaanaa

Home | Index of Poets


Last updated on 24th February, 1998