Contributed by Khalid Jamil


ye kah kar diye merii qismat me.n naale
Qamar Jalalwi

ye kah kar diye merii qismat me.n naale
tumhaarii amaanat tumhaare havaale

bas itaanii hai duurii ye ma.nzil hai ye mai.n huu.N
kahaa.N aake phuuTe hai.n paao.n ke chhaale

karuu.n aisaa sajdaa vo ghabaraa ke kah de.n
Khudaa ke liye ab to sar ko uThaa le

mariiz-e-shab-e-Gam kii saa.Ns aaKhirii hai
charaaG-e-sahar le rahaa hai sambhaale

kabhii mar bhii chuk ai mariiz-e-muhabbat
pareshaan baiThe hai.n ghar jaane vaale

qayaamat hai.n zaalim kii niichii nigaahe.n
Khudaa jaane kyaa ho jo nazare.n uThaa le

"Qamar main huu.N muKhtar ta.nziim-e-shab kaa
hai.n mere hii bas me.n a.ndhere ujaale

Home | Index of Poets


Last updated on 23rd September, 1999