vo kaafir aashanaa naa aashnaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii hai
Jigar Moradabadi

vo kaafir aashanaa naa aashnaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii
hamaari ibtadaa taa i.ntahaa yuu.N bhii hai aur yuui.N bhii

ta'ajjub kyaa agar rasm-e-vafaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii
ki husn-o-ishq kaa har masal'aa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

kahii.n zarraa kahii.n seharaa kahii.n qataraa kahii.n dariyaa
muhabbat aur us kaa silasilaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

vo mujhase puuchhate hai.n ek maqasad merii hastii kaa
bataauu.N kyaa ki meraa mudd'aa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

ham un se kyaa kahe.n vo jaane un kii maslahat jaane
hamaaraa haal-e-dil to baramalaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

na paa lenaa teraa aasaa.N na kho denaa teraa mumakin
musiibat me.n ye jaan-e-mubtalaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

Home | Index of Poets


Last updated on 14th December, 1999