Additions by Arunabha Shashank Roy

kabhii shaaKh-o-sabz-o-barg par kabhii Gu.Nchaa-o-gul-o-Khaar par
Jigar Moradabadi

kabhii shaaKh-o-sabz-o-barg par kabhii Gu.Nchaa-o-gul-o-Khaar par
mai.n chaman me.n chaahe jahaa.N rahuu.N meraa haq hai fasal-e-bahaar par

[shaaKh=branch; sabz=verdant/greenery; barg=leaf]
[Gu.Nchaa=bud; gul=flower; Khaar=thorn; fasal-e-bahaar=season of spring]

mujhe de na Gaib me.n dhamakiyaa.N gire laakh baar ye bijaliyaa.N
merii sar-tanak yahii aashiyaa.N merii milkiiyat yahii pyaar hai

[Gaib=invisible/absence of; sar-tanak=head to toe; milkiiyat=possesion/domain]

merii simt se use ai sabaa ye payaam-e-aaKhir-e-Gam sunaa
abhii dekhanaa ho to dekh jaa ke Khizaa.N hai apanii bahaar pe

[simt=direction; sabaa=breeze; payaam=message; aaKhir=final; Khizaa.N=decay]

ye fareb-e-jalvaa-e-sar-basar mujhe Dar hai ye dil-e-beKhabar
kahii.n jam na jaaye terii nazar i.nhii.n cha.nd naqsh-o-nigaar par

[fareb=deception; sar-ba-sar=completely; naqsh-o-nigaar=embellishments/decorations]

ajab i.nqalaab-e-zamaanaa hai meraa muKhtasar saa fasaanaa hai
ye jo aaj baar hai dosh par yahii sar thaa zaano-e-yaar par

mai.n rahiin-e-dard sahii magar mujhe aur kyaa chaahiye "Jigar"
Gam-e-yaar hai meraa shefataa mai.n farefataa Gam-e-yaar par

Home | Index of Poets


Last updated on 24th August, 1999