zamaanaa aaj nahii.n Dagamagaa ke chalane kaa
Jan Nissar Akhtar

zamaanaa aaj nahii.n Dagamagaa ke chalane kaa
sambhal bhii jaa ki abhii vaqt hai sambhalane kaa

bahaar aaye chalii jaaye phir chalii aaye
magar ye dard kaa mausam nahii.n badalane kaa

ye Thiik hai ki sitaaro.n pe ghuum aaye hai.n
magar kise hai saliqaa zamii.n pe chalane kaa

phire hai.n raato.n ko aavaaraa ham to dekhaa hai
galii galii me.n samaa.N chaa.Nd ke nikalane kaa

tamaam nashaa-e-hastii tamaam kaif-e-vajuud
vo ik lamhaa tere jism ke pighalane kaa

Home | Index of Poets


Last updated on 24th January, 2000