Home | Index of Poets Kaifi Azmi

makaan

aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai 
aaj kii raat na fut-paath pe niind aa_egii 
sab uTho, mai.n bii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho 
ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaa_egii 

ye zamiin tab bhii nigal lene pe aamaadaa thii 
paa.Nv jab TuuTii shaaKho.n se utaare ham ne 
in makaano.n ko Khabar hai na makiino.n ko Khabar 
un dino.n kii jo gufaao.n me.n guzaare ham ne 

[nigalanaa=to swallow; aamaadaa=prepared/ready] 
[makiin=resident; gufaa=cave] 

haath Dhalate gaye saa.Nche me.n to thakate kaise 
naqsh ke baad naye naqsh nikhaare ham ne 
kii ye diivaar buland, aur buland, aur buland 
baam-o-dar aur zaraa, aur sa.Nvaare ham ne 

[buland=high/lofty; baam=terrace/roof; dar=door] 

aa.Ndhiyaa.N to.D liyaa karatii thii.n shamo.n kii lau_e.n 
ja.D diye is liye bijalii ke sitaare ham ne 
ban gayaa qasr to pahare pe ko_ii baiTh gayaa 
so rahe Khaak pe ham shorish-e-taamiir liye 

[lau=flame; qasr=mansion; paharaa=guard] 
[Khaak=dust/earth; shorish=chaos/tumult; taamiir=construction] 

apanii nas-nas me.n liye mehanat-e-paiham kii thakan 
band aa.Nkho.n me.n isii qasr kii tasviir liye 
din phighalataa hai isii tarah saro.n par ab tak 
raat aa.Nkho.n me.n KhaTakatii hai syaah tiir liye 

[mehanat-e-paiham=continuous work/effort] 
[thakan=fatigue; syaah=dark/black] 

aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai 
aaj kii raat na fut-paath pe niind aayegii 
sab uTho mai.n bii uThuu.N tum bhii uTho tum bhii uTho 
ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaayegii 

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 11th May, 2002