Home | Index of Poets Zafar Kaleem

tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal


tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal 
log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal 

pahalehaq thaa terii chaahat ke chaman par meraa 
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa 
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n 
mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n 
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal 

mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise 
mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise 
merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad 
mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad 
apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal 

mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii 
merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii 
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N 
ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii 
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal 

Additions by Simi Chowdhury

Home | Index of Poets Zafar Kaleem
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 8th June, 2001