jhuuThii sachchii aas pe jiinaa kab tak aaKhir kab tak
Kashif Indori

jhuuThii sachchii aas pe jiinaa kab tak aaKhir kab tak
may kii jagah Khuun-e-dil piinaa kab tak aaKhir kab tak

sochaa hai ab paar utare.nge yaa Takaraa kar Duub mare.nge
tuufaano.n kii zad pe safiinaa kab tak aaKhir kab tak

ek mahiine ke vaade par saal guzaaraa phir bhii na aaye
vaade kaa ye ek mahiinaa kab tak aaKhir kab tak

saamane duniyaa bhar ke Gam hai.n aur idhar ik tanahaa ham hai.n
saika.Do.n patthar ik aa_iinaa kab tak aaKhir kab tak

Home | Index of Poets


Last updated on 20th January, 1999