Home | Index of Poets Khalil ur Rahman Azmi

jalataa nahii.n aur jal rahaa huu.N


jalataa nahii.n aur jal rahaa huu.N 
kis aag me.n mai.n pighal rahaa huu.N 

mafaluuj hai.n haath-paa.Nv mere 
phir zahan me.n kyuu.N chal rahaa huu.N 

[mafaluuj=useless] 

raa_ii kaa banaa ke ek parvat 
ab is pe Khud hii phisal rahaa huu.N 

kis haath se haath mai.n milaa_uu.N 
ab apane hii haath mal rahaa huu.N 

kyo.n aa_iinaa baar baar dekhuu.N 
mai.n aaj nahii.n jo kal rahaa huu.N 

ab kaun saa dar rahaa hai baaqii 
us dar se kyo.n mai.n nikal rahaa huu.N 

qadamo.n ke tale to kuchh nahii.n hai 
kis chiiz ko mai.n kuchal rahaa huu.N 

ab ko_ii nahii.n rahaa sahaaraa 
mai.n aaj se phir sambhal rahaa huu.N 

ye barf haTaao mere sar se 
mai.n aaj kuchh aur jal rahaa huu.N 

Home | Index of Poets Khalil ur Rahman Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001