Contributed by Ahmed Shemail


mujhe sahal ho ga_ii.n ma.nzile.N vo havaa ke ruKh bhii badal gae
Majrooh Sultanpuri

mujhe sahal ho ga_ii.n ma.nzile.N vo havaa ke ruKh bhii badal gae
teraa haath haath me.n aa gayaa ke chiraaG raah me.n jal gae

vo lajaaye mere savaal par ke uThaa sake na jhukaa ke sar
u.Dii zulf chehare pe is tarah ke shabo.n ke raaz machal gae

vahii baat jo vo na kar sake mere sher-o-naGmaa me.n aa ga_ii
vahii lab na mai.n ji.nhe.n chhuu sakaa qadaah-e-sharaab me.n Dhal gae

unhe.n kab ke raas bhii aa chuke terii bazm-e-naaz ke haadase
ab uThe ke terii nazar phire jo gire the gir ke sa.nbhal gae

mere kaam aa ga_ii.n aaKhirash yahii kaavishe.n yahii garadishe.n
ba.Dahii.n is qadar merii ma.nzile.n ke qadam ke Khaar nikal gae

[aaKhirash=at last; kaavishe.n=attempts]

Home | Index of Poets


Last updated on 14th May, 1998