Home | Index of Poets Manzar Bhopali

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai


judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai

shikaayate.n bhii kare.n ham to kis zabaan se kare.n
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai

[Khataa = mistake]

hamaare jism kii uriyaanat pe mat ha.Nsanaa
ke tum jo o.Dhe hue ho vo ridaa hamaarii hai

[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]

hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhe.n
jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai

[zebaa nahii.n = does not suit; Guruur = pride]
[jagaa = place(jagah)]

Home | Index of Poets Manzar Bhopali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 21st May, 2001