Meer Taqi Meer


thaa musteaar husn se usake jo nuur thaa
Meer Taqi Meer

thaa musteaar husn se usake jo nuur thaa
Khurshiid me.n bhii us hii kaa zarraa-e-zahuur thaa

pahu.Nchaa jo aap ko to mai.n pahu.Nchaa Khudaa ke taaiin
maaluum ab huaa ki bahot mai.n bhii duur thaa

[taaiin=near]

kal paa.Nv ek kaasaa-e-sar par jo aa gayaa
yak-sar wo istaKhvaan shikasto.n me.n chuur thaa

[kaasaa-e-sar=head; istaKhvaan=head]

kahane lagaa ke dekh ke chal raah be-Khabar
mai.n bhii kabhuu kisuu kaa sar-e-pur-Guruur thaa

[sar-e-pur-Guruur=proud head]

thaa vo to rashk-e-huur-e-bahishtii hamii.n me.n 'Meer'
samajhe na ham to feham kaa apane qasuur thaa

Home | Index of Poets


Last updated on 9th December, 1997