Meer Taqi Meer - dushmani hamase kii zamaane ne


dushmani hamase kii zamaane ne
Meer Taqi Meer

dushmani hamase kii zamaane ne
jo jafaakaar tujhasaa yaar kiyaa

[jafaakaar=one who is unfaithful]

ye tavaahum kaa kaaraKhaanaa hai
yaa.N vahii hai jo aitabaar kiyaa

[tavaahum=blind faith]

ham faqiiro.n se be-adaa_ii kyaa
aan baiThe jo tumane pyaar kiyaa

sad rag-e-jaa.N ko taab de baaham
terii zulfo.n kaa ek taar kiyaa

[sad=hundred; taab=lustre; baaham=mutual]

saKht kaafir thaa jisane pahale "Meer"
mazahab-e-ishq iKhtiyaar kiyaa

[iKhtiyaar=to accept (this is the meaning in the current context)]

Home | Index of Poets


Last updated on 16th February, 1999