Mehfil-e-Gazal #238

Home | July '99 Index



Date: 26-Jul-99
Poet: Haider Ali "Aatish"

ta.Dapate hai.n na rote hai.n na ham fariyaad karate hai.n
sanam kii yaad me.n har-dam Khudaa ko yaad karate hai.n

u.nhii.n ke ishq me.n ham naalaa-o-fariyaad karate hai.n
ilaahii dekhiye kis din hame.n vo yaad karate hai.n

[naalaa = loud wailing]

shab-e-furqat me.n kyaa kyaa saa.Np laharaate hai.n siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaa.N ko jab ham yaad karate hai.n

[shab-e-furqat = night of separation; kaakul-e-pechaa.N = curly hair/curls of (your) hair]




Home | July '99 Index