Mehfil-e-Gazal #254

Home | August '99 Index



Date: 17-Aug-99
Poet: "Qaraar" Noori

terii hii tarah hame.n yaad aane vaalaa ho
tere sivaa bhii ko_ii to sataane vaalaa ho

har ek subah yahii dil me.n huuk uThatii hai
hame.n bhii naaz se ko_ii jagane vaalaa ho

vo kis ummiid me.n ghar me.n rahe.n ki jis ghar me.n
na aane vaalaa ho ko_ii na jaane vaalaa ho

har ek se nazare.n milaa_ii hai.n un ke kuuche me.n
ki jaise ab ko_ii ham ko bulaane vaalaa ho

hai dosto ke liye aa_iinaa nazar merii
nazar milaaye jo nazare.n milaane vaalaa ho

ki jaise ko_ii balaa mujhape aane vaalii hai
haraas kahataa hai ko_ii bachaane vaalaa ho

[haraas = fear]

hamaare shahar me.n kyaa kyaa saje-sajaaye hai.n ghar
hamaare ghar ko bhii ko_ii sajaane vaala ho




Home | August '99 Index