Mehfil-e-Gazal #348

Home | December '99 Index



Date: 27-Dec-99
Poet: Unknown

Another Pankaj Udhas ghazal and once again, the 
poet is not known to me. Today's ghazal may be by 
Jigar Moradabadi but I would appreciate confirmation
of the same.


ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itanaa hai ki mai.n tujh se faraamosh nahii.n

mai.n terii mast nigaaho.n kaa bharam rakh luu.Ngaa
hosh aaye bhii to kah duu.Ngaa mujhe hosh nahii.n

yaad itanaa hai ki pahu.nchaa dar-e-maiKhaane tak
kyaa kahuu.N aage ki aage kaa mujhe hosh nahii.n

kabhii un mad-bharii aa.Nkho.n se piyaa thaa ik jaam
aaj tak hosh nahii.n hosh nahii.n hosh nahii.n




Home | December '99 Index