Mehfil-e-Gazal #392

Home | February 2000 Index



Date: 09-Feb-2000
Poet: Munir Niazi

to.Danaa TuuTe huye dil kaa buraa hotaa hai 
jis kaa ko_ii nahii.n us kaa to Khudaa hotaa hai 

maa.Ng kar tum se Khushii luu.N mujhe ma.nzuur nahii.n 
kis kaa maa.Ngii hu_ii daulat se bhalaa hotaa hai 

log naahak kisii majabuur ko kahate hai.n buraa 
aadamii achchhe hai.n par vaqt buraa hotaa hai 

kyo.n "Munir" apanii tabaahii kaa ye kaisaa shikavaa 
jitanaa taqadiir me.n likhaa hai adaa hotaa hai 

-------------------------------------------------
A clarification - Subscription to Mehfil-e-Gazal 
does NOT automatically give you subscription 
to Ashaar and Lafz mailing lists. To subscribe 
to these lists, you need to send a blank e-mail
to ashaar-subscribe@egroups.com and 
lafz-subscribe@egroups.com respectively.

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | February 2000 Index